Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Monday, 11 April 2016

Woh Jazbon ki Tijarat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,



Woh Jazbon ki Tijarat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,
Usay Hasne Ki Aadat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,

Mujhe Usne Kaha " AaO Nayi Duniya Basate hain " ,
Usay Sojhi Shararat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,

Hamesha Uski AankhOn main, Dhanak Se Rang hote thay,
Yeh Uski Aam Haalat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,

Woh Mere Paas Bethi Dair tak Meri Ghazlein Sunti thi,
Usay Khud Say Muhabbat Thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,

Mere Kaandhay Pe Sar Rakh k, Kahin pe Kho Gayi thi Woh,
Yeh Ik Waqti Anaayat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,


Mujhe Woh Dekh k Aksar, Nigahen Phair Leti thi,
Yeh Dar_E_Parda Haqeeqat thi, Yeh Dil kuch Aur Samjha tha,

No comments:

Post a Comment