Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Monday 15 April 2013

Bus aik mafi hamari tauba, kabhi jo hum ab satain tum ko

Bus aik mafi hamari tauba, kabhi jo hum ab satain tum ko
Lo hath joray, Lo kaan pakray, Ab aur kaisy manain tum ko

Tumhary aatey hi is nagar se, humain raqaabat si ho gai hai
Mein ye sharakat bhi kaisy seh loun, K choo rahi hain hawain tum ko

Tum aaina ho aur sang-baari yahan k logo'n ka mashghala hai
Har aik pathar se dhaal ban kar, Bhala kahan tak bachain tum ko?

To kia tum ab tak hamari nazro'n k sab taqazo'n se bekhabar ho?
Humain muhabbat hai tum se 'Mohsin' Ab aur kaisy bataion tum ko

Batain tum ko bichartay wakt labo'n ki larzish ka kya sabab tha
Suna tha wakt-e-qabooliyat hai, So de rahy thy duain tum ko. . !

No comments:

Post a Comment