Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Monday 25 April 2016

Ajab SanjOg hai Jaana, Yeh Kaisa Rog hai Jaana



Ajab SanjOg hai Jaana, Yeh Kaisa Rog hai Jaana....??
Barre Borhay Batate thay, Kayi Qissay Sunate thay,
Magar Hum Maantay Kab Thay, Yeh Sab Kuch Jaante Kab thay,
Ke Bohat Pukhta Iraade Kis Tarah Se Toot Jaate hain,
Humain Idraak hi Kab Tha...?? Humain Kamil Bharosa tha,
Hamare Sath Kisi Surat bhi Aisa ho nahi Sakta,
Yeh Dil Kaabu Se Be_Kaabu Kabhi bhi Ho nahi Sakta,
Magar Phir Yun Hua Jaana !!
Najaane Kyun hua Jaana !!
Jigar ka KhoOn hua Jaana !!
Teri Aabru ki Ik Jumbish Per,
Tere QadmOn ki Aahat Per,
Gulaabi Muskurahat Per,
Tere Sar k Ishaare Per,
Saada_E_Dil'rubaana Per,
Chehra_E_MasoOmaana Per,
Nigah_E_Qatilaana Per,
Jafaa_E_Mehermaana Per,
Adaa_E_Kafiraama Per,
Ghayal Ho Gaye Hum Bhi, Bare Bebaak Phirte thay, Maay'el Ho Gaye Hum bhi,
Sakhawat Karne Aaye thay, Aur Say'el ho Gaye Hum bhi,
Barre BorhOn ki In BaatOn k Qaa'el Ho Gaye Hum bhi.....""

Ke Muhabbat Rog hai Jaana, Ajab SanjOg hai Jaana.....!!

No comments:

Post a Comment