Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Monday 29 April 2013

Dil Naik ho Neeyat Saaf ho Insaf Kahe "Imran Khan" ♥♥♥...



Dil Naik ho Neeyat Saaf ho Insaf Kahe "Imran Khan" ♥♥♥...
Jo Chali hai ab tehreek k Hoga Theak ye Pyara Pakistan..

Quaid ka tha Farmaan..!!!
Quaid ka tha Farmaan Hai Pakistan Falahi mumliqat
Huwe Leader jab Be-Emaan Kiya Nuqsaan Bhula kr Aaqibat..

Ab Log nahi Naadan..!!!
Ab Log nahi Naadan gaye sab Jaan Kahen "Imran Khan" ♥♥♥
Ab hogi jo Nigraan, ye Nasal Jawaan Barhe ga Pakistan :D

Insaf jo ho Bunyad..!!!
Insaf jo ho Bunyad ho Mulk-o-Qoum Hamesha Shaad rahen
Ho Pak zameen mazboot, Bohat mazboot tu hum Azaad Rahen

Ab hoga har Insaaf, Bara Shafaf Kahe "Imran Khan" ♥♥♥
Ab Aayen ge Hamdard, wo Sache Mard, K jin ka hai Emaan

Tere Sath hain tere Jawaan, Sabhi Imran, Tu hoga Kamyaab
Maon Behno ka maan, Tu rakh Imran, hon Sache tere Khuwab

Wo din bhi hai Nazdeek, k ye Tehreek bane gi Ik Toofan....
Dil Naik ho Neeyat Saaf ho Insaf............ "rahe Rab Rehmaan !!!!

Dil Naik ho Neeyat Saaf ho Insaf Kahe "Imran Khan" ♥♥♥...
Jo Chali hai ab tehreek k Hoga Theak ye Pyara Pakistan..

"Milte hain Kahan Aise Muhabbat Raseeda Log....


"Milte hain Kahan Aise Muhabbat Raseeda Log....
Karte Raho Hamari Ziyarat Kabhi Kabhi"


ﻣﻠﺘﮯ ﮬﯿﮟ ﮐﮩﺎﮞ ﺍﯾﺴﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﺭﺳﯿﺪﮦ ﻟﻮﮒ
ﮐﺮﺗﮯ ﺭﮬﻮ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺯﯾﺎﺭﺕ ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺒﮭﯽ


"Khamosh Mizaji Tujhe Jeene Nahi Degi.


"Khamosh Mizaji Tujhe Jeene Nahi Degi....
Is Dor Mein Rehna Hai To Kohr'am machado"

خاموش مِزاجی تُجھے جینے نہیں دے گی
اِس دور میں رھنا ھے تو کُہرام مچا دو

"Tumhari aankhon k surkh doore,


"Tumhari Aankhon K Surkh Doore,
Wo Baat Kehnay K Muntazir Hain,
Jo Tum Ne Ab Tak Kahi Nahi Hai,
Magar Tumhain Kuch Khabar Nahi Hai,
Tumhara Chehra Ek Aaina Hai,
  K Jis Pe Likhi....!!!
Shikast-e-Dil Ki Ibaraton Ne,
Bohat Si Baaton Ko Bin Kahe Bhi,
Humari Aankhon Say Keh Diya Hai"

Qaaim hen Is Zamany Mein Rishwaton k Silsily Mohsin!




Qaaim hen Is Zamany Mein Rishwaton k Silsily Mohsin!
Tum Bhi Kuch Le De Kar Bas Mery Ho Jao Naa.....!

Udaasi, Shaam, Tanhaai, Kasak, Yaado'n Ki Be'Chaini .


Udaasi, Shaam, Tanhaai, Kasak, Yaado'n Ki Be'Chaini ..
Mujhe Sab Sonp Ker Suraj Utar Jaata Hy Paani Me..!!

Mujh Se Ye Log Kehtay Hain Kahan Dil Chorr Aaey Ho?

 
Mujh Se Ye Log Kehtay Hain Kahan Dil Chorr Aaey
Ho?
"Buhat Chup Chaap Rahtay Ho"
"Na Sajtay Ho"
"Na Sanwartay Ho"
"Na Koi Baat Kartay Ho"
Bhari Mehfil Me Bhi Tum Aksar Hamesha Khooey
Rahtay Ho,
Udassi Aankhon Me Ley Kar Tum Har Ek Chehray
Ko Taktay Ho,
Koi Jab Tum Ko Yaad Aata Hai To Thandi Aahain
Bhartay Ho,
To Phir Khool Kar Kyun Nahi Kehtay Kisi Ko Tum
Yaad Kartay Ho,

Sunday 28 April 2013

Zara Kar Zorr Seene Par Ke Teer e Pur Sitm Nikley

 

Zara Kar Zorr Seene Par
Ke Teer e Pur Sitm Nikley
Jo Voh Nikley Tou Dil Nikley
Jo Dil Nikley Tou Dumm Nikley

Said by Ghalib

Tuesday 23 April 2013

Hawa...!!!




Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,
Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,
Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,
Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,
DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,
Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,
Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.

Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,
Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,
Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!
Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

Shiddat-e-Ishq, Aag lagay tujh ko...


Shiddat-e-Ishq, Aag lagay tujh ko...

Kis jaga lakar Tanha Chor dia...

Sunday 21 April 2013

Khud Pe Beeti To Rote Ho,Sisakte Ho


"Khud Pe Beeti To Rote Ho,Sisakte Ho,
Jo Hum Ne Kiya Tha Kya Wo IShq Na Tha....???

Jab se Begum Ne Mjhy apna Bna Rakha Hy (Just For Smile)




Jab se Begum Ne Mjhy apna Bna Rakha Hy

Me ne Nazron ki Trah sir bhi jhuka Rakha hy

Bartno aj Mery sir Pe Barasty kyn ho

Me ne Dho Dho k Tmhy ktna saja Rakha hy

Roz Leti hy Talashi Wo Police ki Manind

Poochhti hy k kahan Paison ko Chhupa Rakha hy

Wohi Dunya me Muqadar ka sikandar Thehra

Jsne khud ko Yahan Shadi se Bacha Rakha hy

Pi ja is Maar ki Talkhi ko b Hans k Shohar

Maar khaney me b Qudrat Ne Maza Rakha Hay.

Dedicated to all
Mazloom Husbandz

Friday 19 April 2013

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga



Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga
Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga
Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga
Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga
Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

Ye Bhi Mumkin Hai Kisi Rooz Na Pehechanon Use,


Ye Bhi Mumkin Hai Kisi Rooz Na Pehechanon Use,
Wo Jo Har Bar Naya Bhes Badal Layta Hai,


Baar'ha Mujh Se Kaha Meray Yaron Nay WASI,
Ishq Dariya Hai Jo Bachon Ko Nigal Layta Hai,

Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal Kar Do




Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal Kar Do
Main Kay Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Doh
Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do
Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Doh
Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Doh
Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Doh
Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Doh
Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Doh

Hazaar Chehron May Uski Mushahbatain Milien Mjhko


Hazaar Chehron May Uski Mushahbatain Milien Mjhko
Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin.

Kadam Ruk Se Gaye Hain Phool Biktey Dekh Kar


Kadam Ruk Se Gaye Hain Phool Biktey Dekh Kar
Woh Aksar Kaha Krta Tha Muhabbat Phool Jaisi Hai

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko


Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko
Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Daikha…!!!

Pareshan raat sari hai sitaron tum to so jao


Pareshan raat sari hai sitaron tum to so jao
sukut-e-marg tari hai sitaron tum to so jao
hanson aur hansate-hansate dubate jao khalaon mein
hamen ye raat bhari hai sitaron tum to so jao
tumhen kya aj bhi koi agar milane nahi aaya
ye bazi hum ne hari hai sitaron tum to so jao
kahe jate ho ro-roke hamara hal duniya se
ye kaisi razadari hai sitaron tum to so ja
hamen to aj ke shab pau phate tak jagana hoga
yahi qismat hamari hai sitaron tum to so jao
hamen bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
abhi kuch beqarari hai sitaron tum to so jao

Monday 15 April 2013

Urr jaingy, Tasveer k rang'on ki tarha hain

Urr jaingy, Tasveer k rang'on ki tarha hain
Hum wakt ki tehni pe parindo'n ki tarha hain

Tum sahil pe mehekty huay phoolo'n ki tarha ho
Hum rait pe likhay huay harf'on ki tarha hain

Tum aaj bhi aainda zamano'n ki jhalak ho
Hum aaj b guzray huay lamho'n ki tarha hain

Tanhai k yakh lamho'n mein aaingy tere kaam
Ash'aar mery oon ki shaal'on ki tarha hain

Ik umer tarasty hain kisi aik khushi ko
Hum log bhi banjar si zameen'on ki tarha hain

Duniya k liye kuch bhi sahi teray liye hum
Ae dost! Sada maa'n ki duao'n ki tarha hain

Tareekh ki nazro'n mein hum aik umer se 'Mohsin'
School se bhagay huay bacho'n ki tarha hain. . !

Ye bhi mumkin tujhy ishq wilayat de de

"Ye bhi mumkin tujhy ishq wilayat de de. .
Ye bhi mumkin hai tery hosh thikanay lag jain....!!!

Bus aik mafi hamari tauba, kabhi jo hum ab satain tum ko

Bus aik mafi hamari tauba, kabhi jo hum ab satain tum ko
Lo hath joray, Lo kaan pakray, Ab aur kaisy manain tum ko

Tumhary aatey hi is nagar se, humain raqaabat si ho gai hai
Mein ye sharakat bhi kaisy seh loun, K choo rahi hain hawain tum ko

Tum aaina ho aur sang-baari yahan k logo'n ka mashghala hai
Har aik pathar se dhaal ban kar, Bhala kahan tak bachain tum ko?

To kia tum ab tak hamari nazro'n k sab taqazo'n se bekhabar ho?
Humain muhabbat hai tum se 'Mohsin' Ab aur kaisy bataion tum ko

Batain tum ko bichartay wakt labo'n ki larzish ka kya sabab tha
Suna tha wakt-e-qabooliyat hai, So de rahy thy duain tum ko. . !

Suno! Tum ne kabhi saahil pe bikhri rait dekhi hai?


Suno!
Tum ne kabhi saahil pe bikhri rait dekhi hai?
Samander saath behta hai
Magar us k muqaddar mein
Hamesha piyas rehti hai. .

Suno!
Tum ne kabhi sehra mein jalty pairr dekhy hain?
Sabhi ko chao'n dety hain
Magr un ko
Silay mein dhoop milti hai. .

Suno!
Tum ne kabhi shaakh'on se bichrtey phool daikhy hain?
Wo khushbu baant dety hain
Bikhar jany talak lekin,
Hawa ka saath dety hain. .

Suno!
Tum ne kabhi mailay mein bajty dhol dekhy hain?
Boht hi shor karty hain
Magar ander se khaali hain
Yehi apna fasana hai
Yehi Apni Paheli hai. . !

Le Kar Zanjeeren Hathon Me, Kuch Log Tumhari Taak Me Hain,


Le Kar Zanjeeren Hathon Me, Kuch Log Tumhari Taak Me Hain,

Ay ISHQ, Hamari Galiyon Me, Na Aur Phiro To Acha Hai..!!

Mujhe Toota rehne de, Phr Aabad na kr

Mujhe Toota rehne de, Phr Aabad na kr ..

Dar Lagta hai teri Chahat se, Itna bhi Yaad na kr ..


Ab tu Ye Dil bhi apna Na raha, Is Mohabbat ma ..

Wasta-e-Khuda Phr Is Tarah Barbad na Kr ..

Marna Chahta hon, Teri Qaid-e- Bewafai ma ..

Mujhe Marne de mere Khayalat ko Aazad na kr ..

Nahi mile Gi wafa tujhe, Is Be-Wafa Sheher ma ..

" Hath na Utha "
" Aansoun na Baha "
" Udaas na Ho "
" Faryaad na kr "

Woh tujh ko bhoole hain..

Tu

.$..!! " MOhSin " !!..$.

Tujh pe bhi Lazim hai..

" Khaak Dal "
" Aag laga "
" Naam na le "
" Yaad na kr "

Sar-E-Bazaar Jo Nikloon To, Awargi Ki Tohmat,

▬▬▬▬▬▬▬▬▬ ♥=♥=♥ ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
_______

Sar-E-Bazaar Jo Nikloon To, Awargi Ki Tohmat,

Tanha jo Baith Jaon To Ilzaam-E-Muhabbat.. 
 
▬▬▬▬▬▬▬▬▬ ♥=♥=♥ ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
_______
 

Yaad Rahe Ga Ye Daur-E-Hayat Hum Ko


                                                           ▬▬▬▬▬▬▬▬▬ ♥=♥=♥ ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
                                                           _______

Yaad Rahe Ga Ye Daur-E-Hayat Hum Ko

Tarsay The Z!ndag! Ma!n Ek Shakhs K L!ye
 
                                                           ▬▬▬▬▬▬▬▬▬ ♥=♥=♥ ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
                                                           _______

Sunday 14 April 2013

Lafzon Ki Tarah Mujhse Kitabon Mein Mila Kar ..


▬▬▬▬▬▬▬▬▬ ♥=♥=♥ ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
_______

Lafzon Ki Tarah Mujhse
Kitabon Mein Mila Kar .. 
Duniya Ka Tujhe Darr Hai Toh
Khwabon Me Mila Kar .. ♥

Sahil Ko Chu Kar Mai
Tujhe Mehsoos Karun ..
Tu Mujhse Leher Bann Kar
Kinaro Pe Mila Kar .. ♥

Phoolon Ka Khushbu Se
Taaluq Hai Zaruri ..
Tu Mujhe Mehek Bann Kar
Gulabon Me Mila Kar .. ♥

Mai Bhi Insaan Hoon
Mujhe Bhi Darr Hai Behekne Ka ..
Iss Waaste Tu Mujhse
Hijabon Me Mila Kar .. :) |♥|

_______

▬▬▬▬▬▬▬▬▬ ♥=♥=♥ ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬


Kis trha dekh rahay ho mujko


Kis trha dekh rahay ho mujko
tumari apni hon tasali rakho..~

Tere khamosh honton par mohabbat gun-gunati hai,




Tere khamosh honton par mohabbat gun-gunati hai,

Tu mera hai, main teri hoon, bus yehi aawaz ati hai…!!

Friday 12 April 2013


"Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk
Her Baat La-Jawaab Thi Agar Bewafa Na Hota....!!!

Thursday 11 April 2013

Na Raees,
Na Ameer,
Na main Badshah,
Na Wazeer hon,

Tera Pyar hai meri Saltanat,
Usi Saltanat ka ma Faqeer Hon..



Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.


Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
 Yuh toh uske na hone ka kuch gham nahi,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin……..


Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko
Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti
Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab
Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main
Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye
Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nahi main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain
wo kehti hai tumhien mujh say
mohabbat ais kader kio hai
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon
main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi
wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko bohat
keemti mehsoos kerti hoon
main kehta hoon
Mata-e-jaan bohat anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon
wo kehti hai mujay alfaz k jugno nahi miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhabbat hai
main kehta hoon
mohabbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi mujh say
tumhari baat kerti hai
wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darte ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Asad jee!! bohat baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
bohat hi shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kuch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain



"Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum
Daleelain, minnatain or falsafay bekaar jatay hain"
"Wafa Ki Laaj MEin Usko Mana Lete To Acha Tha
Ana Ki Jang Mein Aksar Judayi Jeet Jati Hai"


Mere sare raste band na kar ,

aye ishq mujhe paband na kar ,


ya mujhko lekar sang tu chal ,

ya meri hadd se door nikal ,

mere andar bahar jang na kar ,

aye ishq mujhe paband na kar ,

meri soch ka dariya bahne de ,

jo kahna hai ab kahne de ,

mere lafzo ko berang na kar ,

aye ishq mujhe paband na kar ... !!

Ishq kerna hai tu Dard bhi Sehna Sekho,

Warna aesa karo apni Ooqat ma rehna seekho..!!
"Hum se Bichre ho tu Manzoor-e-Nazar ho kis k.....
  Aaj kal kis ko satate ho, Kahan hote ho..???


Tum Aik ko liye bethe ho,
Ishq Naslen Ujaar deta hai..!!

Usy kehna Qasm le lo
tmhary bad,gr hm ne,

 
Kisi ka khwab dekha ho

Kisi ko hm ne chaha ho
Kisi ko hm ne socha ho
Kisi ki aarzoo ki ho
Kisi ki justju ki ho
Kisi ki raah dekhi ho
Kisi ka Qurb manga ho
Kisi ko sath rkha ho
Kisi se aas rkhi ho
Koi umeed baandhi ho
Koi dil me utara ho
Koi gr tm se pyara ho
Koi dil mein bsaya ho
Koi apna bnaya ho
Koi rootha ho aur hm ne usay ro ro manaaya ho
December ki hseen rut mein
Ksi ka hijr jhaila ho
Kisi ki yaad ka mosum
Meray aangan mein khaila ho
Ksii se baat krny ko
Kbhi ye hont trsay hoon
Kisi ki bewfai pr
Kbhi ye nain brsay hoon
Usay Kehna qasam le lo,