Ajab din thay Mohabbat k, Ajab din
thay Rafaqat k,
Kabhi gar yaad aa jayen tu, Palkon
par sitare jhilmilate hain,
Kisi ki yaad mein raton ko aksar
jagna mamool tha apna,
Kabhi gar neend aa jati to hum ye
soch lete thay,
Abhi to wo hamare waste roya nahi ho
ga, abhi soya nahi ho ga,
Abhi hum bhi nahi rote, abhi hum bhi
nahi sote,
So phir hum jaagte thay aur usko
yaad karte thay,
Akele beth kar weeran dil abad karte
thay,
Hamare saamne taron ke jhurmat mein
akela chand hota tha,
Jo uske husn ke agey bohat he maand hota tha,
Flak par
anginnat roshan sitaron ko Jo hum tarteeb dete thay,
to uska naam banta tha, Jo agle Roz jab miltey,
To guzri
raat ki har bekali ka zikr karte thay,
Har aik qissa sunate thay, Kahan kis
waqt kis tarha se dil dhadka batate thay,
Main jab kehta k Jaana aaj tu main
raat ko aik pal nahi soya,
Tu wo khamosh rehti thi, Par uski
neend mein doobi do jheel si aankhen,
Achanak bol uthti thi, Main jab usko
batata tha
ke main ne raat ko roshan sitaron mein Tumhara naam dekha hai,
To wo
kehti tum jhoot kehte ho, Sitare main ne dekhe thay,
Aur un roshan sitaron mein
tumhara naam likha tha,
"Ajab Masoom Ladki thi",
Mujhey kehti thi
lagta hai, ab apne sitare mil he jain ge,
Maggar usko khabar kia thi kinare mil
nahi sakte,
Mohabbat ki kahani mein mohabbat karne walon ke sitare mil nahi
sakte,
Kinare mil nahi sakte.................
No comments:
Post a Comment