Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Tuesday, 9 December 2014

Hawa jab geet gati hai mery aansu nhi rukty...

Hawa jab geet gati hai
mery aansu nhi rukty...

kisi ki yad aati hai
mery ansu nhi rukty...

main khush hota hon pani main baha kar kaagzi kashti,

magar jab doob jati hai
mery aansu nhi rukty...

main din bhar khof e ruswai ka kitna zabat krta hoon,,,

magar jab raat chaati hai
mery aansu nhi rukty...

kabhi jab sarad shamun main mery kamry ki tanhai,,, usy wapas bulati hai
mery aansu nhi rukty...

Roz-e-Hashar mein Be-Khauf Ghuss Jaon Ga JANNAT Mein..



Roz-e-Hashar mein Be-Khauf Ghuss Jaon Ga JANNAT Mein..

Wahin se aaey thay "AADAM", Wo mery Baap ka Ghar hai !

(ALAMA IQBAL)

"Mairi Zaat Zara-e-Bay Nishan"

"Mairi Zaat
Zara-e-Bay Nishan"

Kabhi Sooni Subah mein Ghoomna,
Kabhi Ujrri Shaamon ko Daikhna,
Kabhi Bheegi Palkon say Jaagna,
Kabhi Beetay Lamhon ko Sochna,
Magar Ek Pal Umeed Ka,
Hai Mujhay Khuda ka Jo Aasra,
Naa hi Main nay Koi Gila Kiya,
Naa hi Main nay Di Duhaaiaan.

"Mairi Zaat
Zara-e-Bay Nishan"

Main Wo Kis Tarah say Karoon Bayan,
Jo Kiay Gaey Sitam Yahan,
Sunay Koun Mairi Ye Daastaan,
Koey HumNasheen Naa hi RaazDaan,
Jo Tha Jhoot Yahan Sach Bana,
Nahin Kholi Main nay Magar Zuban,
Ye Akaila Pan,
Ye Udaasian,
Mairi Zindagi ki hi Tarjumaan.

"Mairi zaat
Zara-e-Bay Nishan"

Her Cheez tumhari lota di,,.,,

Her Cheez tumhari lota di,,.,,

Hum le k nahi kuch sath chalay,,.,,

Phir dosh na dena ay logo,,.,,

Hum dekh lo khali haath chalay,,.,,

Ye raah akele kaati hy,,.,,

Yahan sath na koi "Yaar" chalay,,.,,
Us paar najane kya payein,,.,,?

Es paar to sab kuch haar chalay=.=.

Pakistam Army

Tu Watan Ki Aabroo Hai,
Tu Watan Ka Hai Sahara,
Tu Hawaon Ka Hai Musafir,
Tu Samandaron Ka Raahi

Meray Sir-Bakaf Mujahid,Meray Sir-Shikan Sipahi,

Ye Tera Yaqeen-e-Mehkam,
Teri Himmaton Ki Jaan Hai,
Teray Baaz'uon Ki Kuwwat,
Teray Azm Ka Nishaan Hai,
Tu Hi Raahi, Tu Hi Manzil,
Tu Hi Meer-e-Karwaan Hai
Yeh Zameen Teri Zameen Hai,
Yeh Jahaan Tera Jahaan Hai,
Tu Watan Ka Paasban Hai,
Teray Hath Main Hai Shaahi,

Meray Sir-Bakaf Mujahid, Meray Sir-Shikan Sipahi,

Teri Ubr'uon Ki Junbish,
Teri Aankh Ka Ishaara,
Teri Dushmano Pe Aafat,
Teray Qehar Ka Ishaara,
Tu Watan Ki Aabroo Hai, 
Tu Watan Ka Hai Sahara,
Issi Aabroo Se Chamka,
Iss Dais Ka Sitaara
Yehi Baankpan Hai Tera,
Yehi Teri Kaj-Kalaai

Meray Sir-Bakaf  Mujahid, Meray Sir-Shikan Sipahi....!

Pagal ankhon wali larki!





Pagal ankhon wali larki!
Itne mehnge khawab na dekho____
Thak jao gi!!


Kanch se nazuk khawab tumhare
Toot gaye to
Pachtao gi!!

Soch ka sara ujla kundan
Zabt ki rakh mein ghul jaye ga
Kachey pakkey rishton ki khushbo ka resham
khul jaye ga-!!

Tum kia jano?
Khawab, safar ki dhop ke taishey
Khawab, adhori rat ka dozakh
Khawab, khiyalon ka pachtawa
Khawabon ki manzil ruswai!
Khawabon ka hasil tanhai!!

Tum kia jano?
Mehnge khawab kharedna hon to
Ankhien bechna parti hain____Ya
Rishte bholna parte hain

Andeshon ki rait no phanko
Piyas ki aot sarab na dekho
Itne mehnge khawab no dekho--!!
Thak Jao Gi!!

Ye Cigrette Shauq Hai Meri Aadat Nahin,




Ye Cigrette Shauq Hai Meri Aadat Nahin,

Ye Jazbaat Jagati Hai Tabhi Peeta Hun,

Aadhi Raat Jo Main Yunhi Nahin Jaagta,

Kisi Ki Yaad Satati Hai Tabhi Peeta Hun,

Mujhay Shauq Nahin Aur Jeenay Ka,,,

Ye Umar Ghatati Hai Tabhi Peeta Hun..! 

Friday, 5 December 2014

Oh Jitna Ve Jitna Imran Khan jitna




Oh Jitna Ve Jitna Imran Khan jitna
Dhujiyan Jamatan Pher Bara Pitna
Oh Jitna Ve Jitna Imran Khan jitna
Dhujiyan Jamatan Pher Bara Pitna
Jit Javey Sadi Tehereek
Ve Aj Mera Ji Kar Daye
Imran Khan De Jalse Ich Aj Mera Nachan
Imran Khan De Jalse Ich Aj Mera Nachan
Nu Ji karday
Kaptaan Khan De Jalse Ich Aj Mera
Nachan Nu Ji kardaye
Mulk Ich Apa Insaaf liyana We
Choora Te Gamashiyaa Nu Lamiya Vi Pauna Ve
Mulk ich Apa Insaaf Liyana We
Choora Te Gamashiyaa Nu Lamiya Vi Pauna Ve
Khada Hoya Maal Ona Liya Ke Suthna
Dhujiyan Jamatan Pher Bara Pitna
Khada Hoya Maal Ona Liya Ke Suthna
Dhujiyan Jamatan Pher Bara Pitna
Kaptaan Khan De Jalse Ich Aj Mera Nachan Nu Ji
Kardaye

Tuesday, 2 December 2014



"Dam Tor Jati Hai Har Shikayat Labo'n Pe Aakar,

Jab Wo Masoomiyat Se Kehte Hain, "Meine Kya Kiya"

Phir uski Har Ada Se Chalakne Laga Khuloos,




" Phir uski Har Ada Se Chalakne Laga Khuloos,

Jab Mujh ko Aitabar Ki Aadat Nahi Rahi...!!!

Tum Meri aankho'n Ke Tewar Na Bhula Pao Gay,




" Tum Meri Aankho'n Ke Tewar Na Bhula Pao Gay,

Un Kahi Baat Ko Samjho Gay, Toh Yaad Aao'n Ga...!!

Mujhe Bhi Aaine Jaise Kamal Haasil Hai,



" Mujhe Bhi Aaine Jaise Kamal Haasil Hai,

Mein Toot'ta Hun Toh Phir Be-Shumaar Hota Hun...!!

Be-Zubaa'n Badalo'n Ko Dy Raha Apni Zubaa'n Koi,



" Be-Zubaa'n Badalo'n Ko Dy Raha Apni Zubaa'n Koi,

Lagta Hai Aasmaa'n Ko suna Raha Hai, Dard Ki Daasta'n Koi...!!

Uljha Rahi Hai Mujhko Yehi Kahmakash Musalsal,



Uljha Rahi Hai Mujhko Yehi Kahmakash Musalsal,

 " Mohsin "

Wo Aa Basa Hai Mujh Mein, Ya Mein Us Mein Kho Gaya Hun...!!

Ibn_E_Aadam Hun, Khatao'n Se Mubra Toh Nahi Hun,




" Ibn_E_Aadam Hun, Khatao'n Se Mubra Toh Nahi Hun,

Hangama Sa Kyun Barpa Hai, Muhabbat Hi Toh Ki Hai...!!

Kabhi Taqdeer Ka Matam, Kabhi Mehboob Se Shikwy,



" Kabhi Taqdeer Ka Matam, Kabhi Mehboob Se Shikwy,

Aay Manzil_E_Muhabbat Tere Har Mor Pe Rona Aaya...!!

Muhabbatein Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hone Se,



" Muhabbatein Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hone Se,

Tum Sirf Meri Is Baat Ka Khayal Rakhna...!!

Itne Zaalim Na Bano, Kuch Toh Murawat Seekho,



" Itne Zaalim Na Bano, Kuch Toh Murawat Seekho,

Tum Pe Marte Hain Toh Kya Maar Hi Daalo Gay...!!!

Buhat Dair Kar Di Tum Ne



" Buhat Dair Kar Di Tum Ne Meri Dharkany Mehssos Karne Mein.

Wo Dil Neelaam Ho Gaya Jis Ko Kabhi Hasrat Tumhari Thi...!!

" Wo Aik Baat Buhat Talkh Kahi Thi Us Ne,



" Wo Aik Baat Buhat Talkh Kahi Thi Us Ne,

Baat Toh Yaad Nahi Yaad Hai Lehja Uska...!!

Hai Ikhtayar Mein Tere Toh Mojiza Kar Dy,




" Hai Ikhtayar Mein Tere Toh Mojiza Kar Dy,

Wo Shakhs Mera Nahi, Usse Mera Kar Dy...!!!

Uth Kar Toh Aagay Teri Bazm Se,



" Uth Kar Toh Aagay Teri Bazm Se,
.
.
.
Magar...!!
.
.
.
Kuch Dil Hi Jaanta Hai Ke Kis Dil Se Aayein Hain...!!!

Tum Subha Ka Taara Lagty Ho, Ik Noor Ka Dhaara Lagty Ho,



" Tum Subha Ka Taara Lagty Ho, Ik Noor Ka Dhaara Lagty Ho,

Yeh Phool Charagh Kahan Tum Se, Tum Chand Sitara Lagta Ho..!!!

Tum Ko Uljha Kar Kuch Sawalo'n Mein,



" Tum Ko Uljha Kar Kuch Sawalo'n Mein,

Meine Jee Bhar Ke Tum Ko Dakh Liya...!!

" Toot Jaata Hai Ghareebi Mein Woh Rishta Jo Khaas Hota Hai,

Hazaro'n Yaar Bantein Hain Jab Paisa Paas Hota Hai...!!!

Sab Khasaaro'n Ko Jama Kar Ke Yeh Haasil Nikla,



"Sab Khasaaro'n Ko Jama Kar Ke Yeh Haasil Nikla,

Dil_E_Nadaa'n Ki Koi Baat Na Maani Jaaye...!!

Kehna Ke Ab Wo Sard Aur Tareek Rato'n Mein,



" Kehna Ke Ab Wo Sard Aur Tareek Rato'n Mein,

Jaagta Toh Rehta Hai, Roya Nahi Karta...!!

Paigham_e_Shoq Ko Itna Taweel Na Karna, Aey Qasid,



Paigham_e_Shoq Ko Itna Taweel Na Karna, Aey Qasid,

Bas Itna Kehna Ke Aankhein Taras Gayi Hain...!!!

"Kitni Mehdood Si Hai Dunya Meri,



"Kitni Mehdood Si Hai Dunya Meri,

Ik Mein Hun, Ik Muhabbat Teri...!!!

Kabhi Toh Aisa Bhi Ho Ke Logo'n Ki Baat Sun Kar,



" Kabhi Toh Aisa Bhi Ho Ke Logo'n Ki Baat Sun Kar,

Meri Taraf Tum ..... Raqabato'n Ki Jalan Mein Aoo...!!

"Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usse Hum Farz Karte Hain,



"Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usse Hum Farz Karte Hain,

Chalo Hum Farz Karte Hain Humein Tum Se Muhabbat Hai...!!

Jism Ki Pooja Ko Muhabbat Kehta Hai Aaj Ka Falasfa,



Jism Ki Pooja Ko Muhabbat Kehta Hai Aaj Ka Falasfa,

Yehi Dor_E_Haazir Ki Muhabbat Hai Toh Mein Jaahil Hi Acha Hun..!!

Izhaar_E_Tammanah Hi Toheen_E_Tammah Hai,




Izhaar_E_Tammanah Hi Toheen_E_Tammah Hai,
Tum Khud Hi Samajh Jao Mein Naam Nahi lungi...!!!

Hazaaro'n Gham Hain Lakin Aankh Se Niklay Nahi Aansou'n,



Hazaaro'n Gham Hain Lakin Aankh Se Niklay Nahi Aansou'n,

Hum Ahl_e_Zarf Hain, Peetay Hain, Chalkaya Nahi Karty...!!!

Sirf Hum Hain Dil Mein Un kay,



"Sirf Hum Hain Dil Mein Un kay,

Le Doobi Yeh Ghalat Fahmi Hamein...!!

Monday, 1 December 2014

Her Sitamgar Ko Ye Hamdard Samajh Leti Hai

Her Sitamgar Ko Ye Hamdard Samajh Leti Hai
 
Kitni Khush-Fehem Hai Ye Kambakht Javani Apni