Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Monday 15 April 2013

Urr jaingy, Tasveer k rang'on ki tarha hain

Urr jaingy, Tasveer k rang'on ki tarha hain
Hum wakt ki tehni pe parindo'n ki tarha hain

Tum sahil pe mehekty huay phoolo'n ki tarha ho
Hum rait pe likhay huay harf'on ki tarha hain

Tum aaj bhi aainda zamano'n ki jhalak ho
Hum aaj b guzray huay lamho'n ki tarha hain

Tanhai k yakh lamho'n mein aaingy tere kaam
Ash'aar mery oon ki shaal'on ki tarha hain

Ik umer tarasty hain kisi aik khushi ko
Hum log bhi banjar si zameen'on ki tarha hain

Duniya k liye kuch bhi sahi teray liye hum
Ae dost! Sada maa'n ki duao'n ki tarha hain

Tareekh ki nazro'n mein hum aik umer se 'Mohsin'
School se bhagay huay bacho'n ki tarha hain. . !

No comments:

Post a Comment