Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Sunday, 30 November 2014

jamaal_e_yaar me rangon ka imtezaaj to dekh…

jamaal_e_yaar me rangon ka imtezaaj to dekh…

Sufaid jhoot hai zaalim k surkh hoton pay…

Jin k aagan nein ameeri k shajar Sajte Hain

Jin k aagan nein ameeri k shajar Sajte Hain

Un ke har aib zamane ko hunar lagte hain…

Ya tou unka tazkira kare har koi,



Ya tou unka tazkira kare har koi,

Ya fir koi hum se guftugu na kare,

Agar wo pouch lain hum say tumhain kis baat ka gham hai



"Agar wo pouch lain hum say tumhain kis baat ka gham hai,,,

Tu phir kis baat ka gham hai agar wo pouch lain hum say…

Meri awaargi logo nhi beja, kasam le lo,



Meri awaargi logo nhi beja, kasam le lo,

Agar tum dekhty us ko tu mery ham kadam hoty...!!

Maa phir sy mujhe basta dede…



Maa phir sy mujhe basta dede…..

K dunia ka dia sabq buht mushkil hai…

Mera ho kar ghair ki jageer tha..!!

Mera ho kar ghair ki jageer tha..!!

Dil bhi goya khita-e-kashmir tha..!!

Aapp…! Aur yahan…! Aji zra dekhiay….!?

Aapp…! Aur yahan…! Aji zra dekhiay….!?
Yeh duniya hai!! Paristaan udhar hai….!!

Nazar andaz Karne ki saza deni thi tuj ko

Nazar andaz Karne ki saza deni thi tuj ko….
Tere dill mien otar jana zarori ho gya tha

Mukhalifat se meri shakhsiyat sanwarti bahut hai ?

Mukhalifat se meri shakhsiyat sanwarti bahut hai ?
:
:
bahut ehtaram karta hoon main apne dushmano ka ??

TERI YAD KI BHOL BHALAIYON ME GUM HO KAR

TERI YAD KI BHOL BHALAIYON ME GUM HO KAR

AKSAR MUJHY CHAYE THANDI PEENI PARTI HE

Is Kainat-E-Mohabbat Me Hum Misl Shams-O-Qamar ke hain,

Is Kainat-E-Mohabbat Me Hum Misl Shams-O-Qamar ke hain,

Ek Raabta Musalsal Hai, Ek Faasla Musalsal Hai...!!

Doobi hai meri ungliyaan mere hi khoon me,

Doobi hai meri ungliyaan mere hi khoon me,

ye kaanch ke tukdo pe bharose ki saza hai…!!

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon, Kamaal-e-Yaar Sey Pheley,

"Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon, Kamaal-e-Yaar Sey Pheley,

Mai Khushbu Ki Terhan Mehku, Khyal-e-Yaar Sey Pheley...!!!

Saturday, 29 November 2014

"Mohabbat munfarid Meri, Tamanna chaar soo teri..!!



"Mohabbat munfarid Meri, Tamanna chaar soo teri..!!

Magar Tum ho kabhi us ky, kabi is ky, Siwaa Mery..!!

Hum Se Jab Hoont Woh Milaatay Hain. Maikady Bansuri Bajaatay Hain.



Hum Se Jab Hoont Woh Milaatay Hain.
Maikady Bansuri Bajaatay Hain.

Aao Hum Ko Faraib Do Koii,
Hum Khushi Se Faraib Khaatay Hain.

Jo Teray Dar Se Namuraad Aaye,
Ab Mere Dar Ko Khatkhataatay Hain.

Teri Mehfil Ki Rooshni K Liye.
Aaj Hum Apna Dil Jalaatay Hain.

Youn Khanakti Hai Nabz-E-Dil Jaisse.
Jangaloon K Sakoot Gaatay Hain.

Dil Alam Hi Se Shaq Nahi Hote.
Dil Khushi Se Bhi Toot Jaatay Hain.

Aap Bhi Koi Hukam Farmayeen.
Maah Jabeen Khidmatain Karwaatay Hain.

Tum Ne Dil Ko Ujaar Hi Daala.
Kiya Sajan Youn Ghar Basaatay Hain.

Koi Matti Ka Koi Chaandi Ka.
Ghar Mein Sab Hi Diye Jalaatay Hain....!!

Sar_E_Baazar Niklu'n Toh, Awaargi Ki Tohmat,



Sar_E_Baazar Niklu'n Toh, Awaargi Ki Tohmat,
Tanhayi Mein Bethu'n Toh Ilzaam_E_Muhabbat..!!!

Ane wale December Ki Is Sham Mein Chupkay Say Agar Tum Aa Jao

Ane wale December Ki Is Sham Mein
Chupkay Say Agar Tum Aa Jao

Ye Sham Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye

Wo Bat Jo Lab Na Keh Sky
Ankhon Ki Zubani Ho Jaye

Koi Pyar Ka Naghma Tum Cherro
Koi Pyar Ka Geet Sunayen Hum

Haan Pyar Karen Youn Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye

Mai Bethun Tere Pehlu Mein
Kuch Dil Ki Baten Ho Jaye

Tum Unglyan Phero Mere Balon Mein
Hum Meethi Neend So Jayen

Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi. . Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi. .






Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi. .
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi. .

Aaj Bhi Uska Roop Wohi Suhana Tha. .
Jise Mai Dekhta Tha Or Dewana Tha
Usay Pane Ki Justuju Thi Usay Pana Tha. .
Par Usay Kahan Meri Zindagi Mai Ana Tha. .
Ankhon mai Ashk Liye Dekhta Reh Gaya. .
Meri Ankhon se Ashkon ka Tofan Beh Gaya. .

Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi. .
Mere Liye Nahi Kisi Or Kelye Saji Thi. .

Dil Mai Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi. .
Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi thi. .
Pocho Na Mujse Kya Beeti Mujpar Kya seh Raha Tha. .
Uski Doli Ko Jate Howe Dekh Raha Tha. .

Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi. .
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi. . . . .