Today's Visitors

Poetry Heart Touching Visitors

Thursday, 18 September 2014

Chalo Tum Sath Mat Dena, Mujhy Beshak Bhula Dena,

"Chalo Tum Sath Mat Dena,

Mujhy Beshak Bhula Dena,

Nayee Sapnay Saja Lena,

Naye Rishtay Bana Lena,

Bhula Dena Sabhi Waday,

Sabhi Yadien, Sabhi Natay,

Tumhein Jana Ijazat Hay,

Jo Dil Chahay Wo Sab Karna,

Magar Ab Tum Kisi Say Bhi,

Adhora Pyar Mat Karna....!!

Tumhain Jana Ijazat Hai….. Ke In Tareek Rahon Per

Tumhain Jana Ijazat Hai…..
Ke In Tareek Rahon Per
Thakan Si Khud Mein Pao Tou
Andheron Se Kabhi Dil Dob Jae
Thak Si Jao Tou
Mere Jalte Howe Lamhon
Mere Kangaal Hathon Se Chora Ke Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se Tum Nay Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Per Nay Kuch Khawab Bun Lena
Koi Agar Poch Le Mera Tou Us Se Zikar Mat Karna
Mere Jivan Ki Jalti Dopahar Se Be-Gharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Me Jugno Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna
Tumhain Iski Ijazat Hai
Mere Sab Khat Jala Dena
Mere Tohfon Ko Darya Mein Baha Dena
Tumhain Bilkul Ijazat Hai
Ke Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aesa Na Ho Jana
Tou Acha Hai….!!

Friday, 5 September 2014

Tumhain mujh ko satana hai? Chalo jee bhar k tang ker lo..

Tumhain mujh ko satana hai?

Chalo jee bhar k tang ker lo..

Keh yeh bachon ki aadat hai,

Khiloney haath main hon to,

Zara bhi dum nahi letay, 

Magar thehro.....!

Kabhi aisa bhi hota hai,

Isay bhi zehan men rakhna,

Zara see be-dheyani men,

Zara see be-khayali men,

Inhain zayada satao to, 

Yeh akser rooth jaatey hain,

Khiloney toot jaatey hain...!!!

Wo Aadmi hay Aam sa, Aik Qisaa Na-tamaam sa,

Wo Aadmi hay Aam sa,
Aik Qisaa Na-tamaam sa,
Na lehja bay-misaal hay,
Na baat mein kamaal hai,
Hay dhaiknay mai Aam sa,
Udaasyion ki shaam sa,
Jaisay aik Raaz hay,
Khud say bay-niyaaz hay,
Na mah-jabeenon say Rabt hay,
Na sharton ka Zabt hay,
Raanjha na Qais hay,
Inshaa na he Faiz hay,
Wo paikar-e-Ikhlas hay,
wafaa,duaa aur aas hay,
wo shakhs Khud-shanaas hay,
Tum he faisla karo,
Wo Aadmi hay aam sa,
Yah phir Bohat he khaas hay..!!!

Woh aksar mujh se kehti thi, Wafa hai zaat aurat ki,

Woh aksar mujh se kehti thi,
Wafa hai zaat aurat ki,
Magar jo mard hote hain,
Bohat be’dard hote hain,
Kisi bhanwre ki surat,
Gul ki khushbu loot jate hain,
Suno, tum ko kasam meri,
Riwayat torr dena tum,
Na tanha chorr ke jana,
Na yeh dil torr ke jana,
Magar phir yu’n hua ik din,
Mujhe anjaan raste per,
Akela chorr kar usne,
Mera dil torr kar usne,
Mohabbat chorr di usne,
Wafaa hai zaat aurat ki,
Riwayat torr di us ne..

Labon ki sersarahat se. badan k choor hony tak.

Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak.
Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.
Khataon par khata'ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko.
Main tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye.
Na himmat tujh main ho baqi.
Na himmat mujh main ho baqi.
Magar itna qareeb aaoun.
K meri saans ruk Jaye.
Tere honton pe jab rakhoon.
Main apny hont kuch aise.
Ya teri pyaas bujh jaye.
YA MERI SAANS RUK JAYe.

Thursday, 4 September 2014

Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti

Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi...!!!