Pages

Thursday, 28 August 2014

Mayaar Girta Na Doston Ka

Mayaar Girta Na Doston Ka
Na Hum Bhi Dushman Ki Dhaal Hotay
Zaeef Dushman Pay Waar Kartay
To Waqt K Hum Dajaal Hotay
Nahin Tha Apna Mizaaj Aisa K Zarf Kho Kar Anaa Bachatay
Warna Aisay Jawab Datay
K Phir Na Paida Sawaal Hotay
Humari Fitrat Ko Janta Hai
Tabhi To Dushman Ye Keh Raha Hai
Hai Dushmani Main Bhi Zarf Aisa
Jo Dost Hotay Kamal Hotay
Jo Aa K Tum Haal Puch Letein
To Itni Lambi Na Umr Lagti
K Wasl Ki Ik Ghari Main Saray
Guzar Gaye Maah-o-Saal Hotay
Tumhain Mubarik
Maqaan Uncha
Sahi Haqeeqat Humein Pata Hai
Bantay Rishton Ki Hum Bhi Seerhi
To Asmaan Ki Misaal Hotay

No comments:

Post a Comment